Thursday, 25 June 2015

Heer aur Farhan1

Heer ko ehsas hua kay usne ghalat kiya. Heer k dil o dimagh mein koi farhan ki jagah le hi nhi paa raha tha. Sb kuch dobara sahi ho gya. Iss dafa heer kay dil mei farhan kay liye mohabbat pehle se bhi ziada ho gyi thi. Sab kuch theekh chal raha tha.
Kuch arsa ghuzra tou farhan ne mehsoos kiya kay heer ke dil mei uss k liye nafrat pal rahi hai jo kay usko bohot disturb kr rahi thi. Farhan ne barha dafa puchna chaha kay akhir aisa kia hai lekin heer khamosh rahi aur farhan se kuch bhi na kaha. Dusri taraf farhan apne dost ko kehta phir raha tha kay usay heer se mohabbat nhi hai woh uss se shadi nhi karay ga. Iski sb se bari waja yeh thi kay woh sb log jo uss kay aur heer ki mohabbat kay khilaf thay aur jalan rakhte thay unka dehan hatya jaye. Woh heer ko in sab se duur rakhna chahta tha kyu k farhan ki ghair mojudgi mei uskay apne dost heer kay dimagh mein farhan kay liye nafrat daal rahay thay. Heer iss sb se anjaan thi. Heer ko tou yeh b nhi pata tha kay woh farhan ki kamzori bann chuki hai jiska log faida utha rahay thay. Heer ne bina kuch sochay samjhe unn sb ki baaton pr yaqeen krna shuru kr dia jinse farhan heer ki khatir lara tha. Heer ka yaqeen aj unhi logon ki waja se khokla ho gya tha. Farhan ka yaqeen kamil kay heer farhan ko samjti hai, ghalat sabit ho chuka tha. Farhan k mazi se har uss baat ko pakar kay heer ko badghuman kiya gya, heer ko har uss gunah ka yaqeen krwaya gya jo farhan ne kiya hi nahi tha. Heer yeh sab kuch samajhte huye bhi anjaan bann rahi thi. Jab kay heer ko har uss shaks se related sach pata tha.
farhan ko sb samaj araha tha lekin heer ko nahi.
farhan ne kia kiya? Agay kia hua? Iss k liye apko kal tak ka intezar krna paray ga. Ak baat dehan mei rakhain kay yeh ak sachi kahani hai.

Wednesday, 24 June 2015

Heer aur farhan

Heer bohot khush thi. Imran kay sath uski shadi ki baat jo chal rai thi. Ak dafa phir se wohi mohabbat dobara parwan charhi jo pehle farhan k liye parwan charhi thi. Roz baat hoti rahi ak dusre se jaan pehchan barhti rahi. Dusri taraf farhan bhi heer se shadi k liye purjosh tha aur din raat mehnat kr raha tha. Lekin iss baat se bai khabar kay uski mohabbat tou heer ne bant di. 
Heer shayed ak new zindagi start krna chahti thi lekin woh anjaan thi kay woh kis taraf jaa rahi hai. Ak taraf farhan se sachi mohabbat dusri taraf imran se bhi lagao. Lekin farhan ki mohabbat ishq mei badal chuki thi. Phir ak din farhan ko imran aur heer k baray mei pata chal gya. Farhan chahta tou heer ko chor kay bhi jaa skta tha. Lekin uss ne haar nahi mani. Heer ko waqt chaiye tha jo farhan kaam ki waja se de nai paa raha tha lekin woh baikhabar thi kay farhan ki mehnat unn dono k liye thi. Haar manne ka tou sawal hi peda nahi hota tha. Uss k ishq kay agay heer ki yeh harkat bohot choti parr gyi thi. Heer k liye kisi bhi hadh tk jana uss k liye bari baat nai thi. Heer farhan ka junoon thi. Usne heer ko maaf kr dia. Heer ne shayed yeh socha nahi kay uski muskurahat kay peeche dard kitna hai? Lekin heer k ishq k agay uska dard bohot kam tha. 
Farhan ki situation mein jb heer ayi tou kia hua? Yeh phir sunau ga.

Ehsas

Ali ko apni mohabbat kay khonay ka dukh tha aur woh heer kay sath apni feelings share kr raha tha. Usne heer ko batya kay usne apni girlfriend ko kisi aur kay sath dating krte dekha aur woh sambhal nai paa raha tha. Yahan tak kay usne socha khudkushi kr lu. Usko bura bhala kehne laga. Galiyan dene laga. Itne mein heer boli Ali sambhalo apne apko tum q aisa soch rahay ho? Muje bhi tou farhan ne dhoka diya na. But dekho mai bhi tou zinda hu na. Duniya aisi hai waisi hai. Yahan sb dhoka dete hain. 
Ali  aur kiran ne kitni aram se haar maan li thi. Jo rishta itne maan se shuru hota hai, har burayi achi lagti hai, phir achanak aisa kia ho jata hai kay choti se choti ghalti bhi kisi bari pahar jaisi burayi lgne lag jati hai. Kitna asan hota hai kisi ko yeh keh dena k tum ghalat ho. Jab kay ali aur heer ko sochna chaiye tha k unhon ne  insano se mohabbat ki hai na kay kisi khilonay se jis ki koi feelings nahi hoti. Hum aksar logon ko hurt kr jatay hain but pata nai chalta, ehsas nahi hota. Hum yeh tou soch lete hain k woh chala gya lekin ghor nahi krte k akhir aisa kia hogya k woh chala gya. Apne ap per ungli uthana sb se mushkil kaam hota hai. 
Aur jahan ishq aur sachi mohabbat ho. Kuch bhi ho jaye. Janay wala jana bhi chahay tou chahat rakhne walay unko wapis le hi atay hain. Waqt lgta hai, insan hain maan b jatay hain agr koi mananay wala ho tou.