Friday, 31 July 2015

Tanha Akeli

bikhre baal, nam ankhein, udas dil aur khyalat ki duniya ka safar. bikhri hui heer khud ko smait rahi thi. andher kali raaton mei woh tanha akeli zindagi ki bohot se swalon kay jawab talash kr rai thi.zindagi bhi kaisay kaisay imtehan leti hai. kabhi kabhi ak tez lehr ki tarah ati hai rait se banay mehal bikhair deti hai tou kbhi insan ko aik aisi chattan bana deti hai jis ko bari se bari lehrain takrati tou hain lekin wapis chali jati hain. uski nam ankhon mein bohot dard tha jisko woh sb kay samne chupa tou leti thi lekin raat k tanhyi mein ansu baha kay khud se hi dard bantt leti thi. koi tha hi nhi uss k pass. Uss k sab apnay tou bichar chukay thay.


khud se lara hu mai
tanha khara hu mai

tanhayi meri dost, mere halat mere sathi
han inhi kay sath pala bhara hu mai

samaj na paya koi, woh sawal hu mai
utar na paya dil mein , woh saaz hu mai
kehti hai mujse meri awargi
khud se hi bhagawat kr gaya hu mai

na tum chale sath na koi hamnawa
jahan tha wahi khara raha hu mai

kon samjhaye kon rulaye kon sataye
wah Fahd! khud mei hi batta hu mai

Tumhara tassawur, meri awargi
isi ISHQ mei kho gaya hu mai


No comments:

Post a Comment