Friday, 27 March 2015

AKHRI SANS

Woh Uss ko maar rahay thay, noch rahay thay. woh uthta tou phir uss pe koi na koi hamla kr deta. Aj woh tan tanha unhi bhairion mein phans gya tha jinhain kabhi usne maar bhagya tha. Uski taqat khatam hoti jaa rahi thi. phir finally usne apni strength ko ikatha kiya aur larna shuru ho gya lekin woh tadad aur taqat mei bohot ziada thay. Uski taqat hi uska sath chor gyi thi tou woh lrta kaisay.

lahoo lahan jungle mei gira hua apni akhri saansein le raha tha kay shayed abh bhi koi bhag ke aye ga aur usko sambhale ga. lekin aisa na hua. Uski ankhon mei ak satisfaction si thi. akhri sans tak woh sirf ak hi taraf dekhta raha k ab woh aye ga aur bacha le ga y sambhal le ga usko. lekin uss kay chehre pe ak muskurahat ayi aur uski akhri sans bhi uska sath chor gyi. Akhri dam tk uski ankhein sirf ak hi rah tak rahi thi aur ab bhi khoon mei latpat, baijan, ghane jungle mei akela para hua jaisay kisi ko keh raha ho kay "me ne koshish tou ki thi".

Ak taraf bhairion ka jashn tha tou ak taraf  bay yaro madadgar ak dost jo kay ghane jungle mei ak darakht k sath taik laga kay baijan para hua tha. Lekin ab koi khof koi darr na tha. Har taraf khamoshi aur sanata tha. Shayed mahol bhi ghamzada tha uski halat pe...............


No comments:

Post a Comment