Monday, 16 March 2015

Yeh sirf ghazal ka sher tha

"Yeh Sirf ak sher hai ghazal ka".... keh kr woh muskurayi aur apni muskurahat mein woh saaf keh gyi k tum nahi samjho gey. Yeh sunn kr farhad mann hi mann muskuraya aur uski iss tasali ko hans kay haqeeqat ka libada pehna kr baat ko badal gya.
Sheeren ki khamoshi uss kay qalaam se bhi agay nikal gyi aur itni agay k farhad ki awaz bhi na pohnch payi uss tak. Woh dono hi ajeeb ai kashmaksh mein mubtla thay. Aj unn k darmyan khamoshi ka woh fasla tha jo kam nahi balkay barh hi raha tha. Shayed shireen agay anay wala waqt ko jaan chuki thi aur usko jo behter laga woh wohi kr rahi thi. Kehte hain na k waqt hi zakhm deta hai aur waqt hi marham. Yeh ishq bhi ajeeb hai. Kabhi ishq bakhud la hasil ho jata tou kabhi "Woh" . Aur farhad bhi uss anay walay waqt ko bhanp raha tha lekin akhri waqt tk larna lazim tha aur hai bhi..............
To be continued..................................................

No comments:

Post a Comment